Search This Blog

Sunday, April 11, 2010

BARSON K BAD DEKHA EK SHAKHS DIL RUBA SA.

Barson ke bad dekha ek shaks dil ruba sa,
Ab zehan mein nahein he per nam tha bhala sa,

Abroo khinche kinche se ankhein jhuki jhuki si,
Batein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa,

Alfaz the keh jugnu awaz ke safar mein,
Bun jaye jangalon mein jis tarha rasta sa,

Khuwabon mein khuwab us ke, yadon mein yad us ki,
Nendon mein ghul gaya ho jese keh rat-jaga sa,

Pehle bhe log aaye kitne hi zindage mein,
Woh her tarah se lekin auron se tha juda sa,

Pichli muhabaton ne woh na-muradiyan dein,
Taza rifaqaton se dil tha dara dara sa,

Kuch yeh keh mudaton se hum bhe nahein the roye,
Kuch zehar mein bujha tha ehbab ka dilasa,

Phir yun hua keh sawan ankhon mein aa basay the,
Phir yun hua ke jese dil bhe tha aabla sa,

Ab such kahen to yaaro hum ko khabar nahein the,
Bun jayega qayamat ek waaqea zra sa,

Tewar the berukhi ke andaaz dosti ke,
Woh ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,

Hum dasht the keh daryam hum zehar the keh amrit,
Naahaq tha zoam hum ko jub woh nahein tha pyaasa.

Saturday, April 10, 2010

MEHNDI UN K HATHON MEN LGA DO YARO

,'Mehendi Unke Hathon Me Laga Do Yaaro,

Mujhko Bhi Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro,

Pehna K Mujhe Meri Hi Gurbat Ka Kafan,

Un Pe Surkh Joraa Saja do yaaro

Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par,

Mera Naam-o-Nishan Dunya Se Mita Do Yaaro,

Waqt Aakhri Hai Teri Dunya Me Is Dewane Ka,

Ho Sakey to mere Mehboob Ko Ye Batado Yaaro,

Suna Hai Aaj Uski Dolli is Gali Se Guzar Jayegi,

Meri Mayyat Ko is Rastey Se Hata Do Yaaro.;-(

Friday, April 9, 2010

NAHI HE HAL HAMARA KUCH TUMHARY HAL SE ALAG.

Nahi hai hamara Haal
kuch tumhare Haal se alag,
Bas farq hai itna
K tum yaad kartay ho,or hum bhool nahi pate,
K tum dil me rahktay ho,or hum dil hi nahi rahkte,
K ye zindagi tumhari hai,or hamari to zindagi tum ho,
K tumhare liye ye khwab he sab kuch,
or hamari to haqiqat hi tum ho,
K tumhe is duniya me
or kuch b hai piyara
par hamare liye to
sab se piyare hi tum ho,
K tum khush qismat ho paya hai sab kuch,kam naseeb hum b nahi hamare pas bhi tum ho.

TUJHY YAD KRTY HEN HR SANS K BAD

Tuje yad karte hain her sans k bad,
kabi suba se pehle kabi sham k bad.

Kabi milo to kuch karein batein,
ik jam se pehle ik jam k bad.

Dil ki dewaron pe tera nam likhte hain,
kabi fursat mein kabi kam k bad.

Mere marne k bad b log tuje pukarein ge,
kabi mere nam se pehle kabi mere nam k bad"
www.djnews-djay.blogspot.com

GHAROOR e JAN KO MERY YAR BAICH DETY HEN.

Gharur-e-jan ko meray yar baich detay hain...

Qaba ki hirs mein dastar baich detay hain...

Yeh log kya hain k do char khawahishon k liye...

Tamam umar ka pindar baich detay hain...

Janun-e-zeenat-o-aaraish-e-makaan k liye

Kai makeen dar-o-diwar baich detay hain...

Zara b narkh ho bala to taajran-e-harm

Qalem-o-jubba-o-dastar baich detay hain.
www.djnews-djay.blogspot.com

KAB TK RAHO GY AAKHIR YU DOOR DOOR HUM SE.

Kab tak raho ge aakhir yun door door hum se,

Milna pare ga aakhir ek din zaror hum se,

Daman bichaane wale ye be- rukhi hai kesi,

Keh do agr hua hai koi kasoor hum se,

Hum cheen lenge tumse ye shan-e-bynyzi,

Tum mangte phiro ge apna garoor hum se,

KAB TK RAHO GY AAKHIR YU DOOR DOOR HUM SE.

Kab tak raho ge aakhir yun door door hum se,

Milna pare ga aakhir ek din zaror hum se,

Daman bichaane wale ye be- rukhi hai kesi,

Keh do agr hua hai koi kasoor hum se,

Hum cheen lenge tumse ye shan-e-bynyzi,

Tum mangte phiro ge apna garoor hum se,