Kuch is tarha sy usay pyar karna parrta hai,
K Apnay pyaär sy inkaar karna parrta hai,
Kabi kabi to wo itna qareeb hota hai,
K apny aap ko deewaar karna parrta hai,
Khuda ny usko aäta ki hai wo Maseehai,
K khud ko jaan k bimaar karna parrta hai,
Wafa ki raah mein dushwaarya'n to aati hain,
Wafa ki raah ko humwaar karna parrta hai,
Wo haath rakh k mery dil py jab puchhta hai,
Tou mujh ko dard sy inkaar karna parrta hai!
No comments:
Post a Comment