Mil hi jayega kahin dil ko yaqeen rehta hai,
Wo isi sheher ki galiyon me kahin rehta hai,
Ik zamana tha k sub aik jaga rehte thay,
Or ab koi kahin koi kahin rehta hai,
Jis k saanson se muattar they dar-o-deewar tere,
Aae makaan bol kahan ab wo makeen rehta hai,
Roz milne pe bhi lagta hai k jug beet gaye,
Ishq me waqt ka ehsas nahi rehta hai,
Dil afsurda to hua dekh k usko lekin,
Umar bhar kon jawan kon haseen rehta hai.
No comments:
Post a Comment